mutmain baiTha hun KHud ko jaan kar
mutma.in baiThā huuñ ḳhud ko jaan kar
aur kyā miltā ḳhudā ko maan kar
mere dushman kī sharāfat dekhiye
daar kartā hai mujhe pahchān kar
zehn-o-dil tafrīq ke qaa.il nahīñ
kyā karūñ apnā parāyā jaan kar
dosto rūdād-e-manzil phir kabhī
rāsta chup thā mujhe pahchān kar
zindagī se ab bhī samjhautā nahīñ
jī liye terī zarūrat jaan kar
apne andar rāste milne lage
ruk gayā thā ḳhud ko manzil jaan kar
sher to 'anjum' atā-e-ġhaib hai
fā.eda kyā lafz-o-ma.anī chhān kar
mutmain baiTha hun KHud ko jaan kar
aur kya milta KHuda ko man kar
mere dushman ki sharafat dekhiye
dar karta hai mujhe pahchan kar
zehn-o-dil tafriq ke qail nahin
kya karun apna paraya jaan kar
dosto rudad-e-manzil phir kabhi
rasta chup tha mujhe pahchan kar
zindagi se ab bhi samjhauta nahin
ji liye teri zarurat jaan kar
apne andar raste milne lage
ruk gaya tha KHud ko manzil jaan kar
sher to 'anjum' ata-e-ghaib hai
faeda kya lafz-o-mani chhan kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.