mutmain bhi kis qadar the apni qurbani se hum
mutma.in bhī kis qadar the apnī qurbānī se ham
rad kiye jaane lage ab kitnī āsānī se ham
āñsuoñ kī aag ne sūraj banā Daalā hameñ
bujh nahīñ sakte samundar ab tire paanī se ham
itnī 'ādat paḌ chukī mushkil-pasandī kī hameñ
ḳhud se bhī ab mil nahīñ paate haiñ āsānī se ham
zindagī ko dekhne kī aarzū meñ yuuñ huā
aa.ine ko dekhte rahte haiñ hairānī se ham
aaj ham utre hue dariyā se Darte haiñ 'ra.īs'
khelte the kal talak maujoñ kī tuġhyānī se ham
mutmain bhi kis qadar the apni qurbani se hum
rad kiye jaane lage ab kitni aasani se hum
aansuon ki aag ne suraj bana Dala hamein
bujh nahin sakte samundar ab tere pani se hum
itni 'adat paD chuki mushkil-pasandi ki hamein
KHud se bhi ab mil nahin pate hain aasani se hum
zindagi ko dekhne ki aarzu mein yun hua
aaine ko dekhte rahte hain hairani se hum
aaj hum utre hue dariya se Darte hain 'rais'
khelte the kal talak maujon ki tughyani se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.