mutmain ho ke marne ka saman kar
mutma.in ho ke marne kā sāmān kar
zindagī ai ḳhudā mujh pe āsān kar
sirf rasmī ta.āruf hī kaafī nahīñ
mere nazdīk aa merī pahchān kar
rasm hai sajda-rezī to kuchh bhī nahīñ
qalb ko pahle apne musalmān kar
abr kī oT meñ chāñd kab kā chhupā
ab na chehre pe zulfeñ pareshān kar
maut to aa.egī be-talab aa.egī
zindagī hai to jiine kā armān kar
us se mil kar maiñ kahtā to kaise 'shakīl'
mujh ko ghar apne ik roz mehmān kar
mutmain ho ke marne ka saman kar
zindagi ai KHuda mujh pe aasan kar
sirf rasmi taaruf hi kafi nahin
mere nazdik aa meri pahchan kar
rasm hai sajda-rezi to kuchh bhi nahin
qalb ko pahle apne musalman kar
abr ki oT mein chand kab ka chhupa
ab na chehre pe zulfen pareshan kar
maut to aaegi be-talab aaegi
zindagi hai to jine ka arman kar
us se mil kar main kahta to kaise 'shakil'
mujh ko ghar apne ek roz mehman kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.