mutrib-e-dil ki wo tanen kya huin
mutrib-e-dil kī vo tāneñ kyā huiiñ
vo taḳhayyul kī uḌāneñ kyā huiiñ
kyā hue vo tirchhī nazroñ ke ḳhadañg
abruoñ kī vo kamāneñ kyā huiiñ
vo adā.eñ jin pe hotī thiiñ nisār
chāhne vāloñ kī jāneñ kyā huiiñ
kyā hue TuuTe diloñ ke zamzame
be-zabānoñ kī zabāneñ kyā huiiñ
kyā hue 'aḳhtar' umīdoñ ke hisār
vo azā.em kī chaTāneñ kyā huiiñ
mutrib-e-dil ki wo tanen kya huin
wo taKHayyul ki uDanen kya huin
kya hue wo tirchhi nazron ke KHadang
abruon ki wo kamanen kya huin
wo adaen jin pe hoti thin nisar
chahne walon ki jaanen kya huin
kya hue TuTe dilon ke zamzame
be-zabanon ki zabanen kya huin
kya hue 'aKHtar' umidon ke hisar
wo azaem ki chaTanen kya huin
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 437)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.