Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mutrib se nawa ruTh gai hai to mujhe kya

Syed Abdus Sattar Mufti

mutrib se nawa ruTh gai hai to mujhe kya

Syed Abdus Sattar Mufti

MORE BYSyed Abdus Sattar Mufti

    mutrib se navā ruuTh ga.ī hai to mujhe kyā

    ye sham.a agar jal ke bujhī hai to mujhe kyā

    maiñ koh-o-bayābāñ chahaktā huā panchhī

    har shāḳh-e-chaman phūlī-phalī hai to mujhe kyā

    mausam hasīñ taal pe nācheñgī fazā.eñ

    ye baat kisī gul ne kahī hai to mujhe kyā

    ḳhushbū se hai ḳhālī abhī dāmān-e-tasavvur

    bāġh-e-tamannā kalī hai to mujhe kyā

    hai faḳhr abhī apne buḌhāpe ke lahū par

    shīshe meñ tire lāl-parī hai to mujhe kyā

    ai dost maiñ kab thā ġham-e-hālāt ke taabe

    hālāt raftār vahī hai to mujhe kyā

    maqsūd faqat dast-e-tasavvur ziyārat

    tasvīr meñ rangoñ kamī hai to mujhe kyā

    dam toḌ diyā zauq-e-tamannā ne taḌap kar

    qātil nazar jaam banī hai to mujhe kyā

    hotī hai adā rasm kahīñ merī balā se

    parvān na.ī riit chaḌhī hai to mujhe kyā

    maiñ pyaar ke zaḳhmoñ parastār huuñ gul-chīñ

    idrāk shādāb kalī hai to mujhe kyā

    ḳhātir meñ talātum ko bhī laatā nahīñ hamdam

    kashtī koī sāhil pe lagī hai to mujhe kyā

    raushan hai mire dil meñ tirī yaad sūraj

    jugnū shab-e-ġham se Thanī hai to mujhe kyā

    'muftī' mirī āñkhoñ ne faqat ashk bahā.e

    hāsil tujhe duniyā ḳhushī hai to mujhe kyā

    mutrib se nawa ruTh gai hai to mujhe kya

    ye shama agar jal ke bujhi hai to mujhe kya

    main koh-o-bayaban ka chahakta hua panchhi

    har shaKH-e-chaman phuli-phali hai to mujhe kya

    mausam ki hasin tal pe nachengi fazaen

    ye baat kisi gul ne kahi hai to mujhe kya

    KHushbu se hai KHali abhi daman-e-tasawwur

    tu bagh-e-tamanna ki kali hai to mujhe kya

    hai faKHr abhi apne buDhape ke lahu par

    shishe mein tere lal-pari hai to mujhe kya

    ai dost main kab tha gham-e-haalat ke tabe

    haalat ki raftar wahi hai to mujhe kya

    maqsud faqat dast-e-tasawwur ki ziyarat

    taswir mein rangon ki kami hai to mujhe kya

    dam toD diya zauq-e-tamanna ne taDap kar

    qatil ki nazar jam bani hai to mujhe kya

    hoti hai ada rasm kahin meri bala se

    parwan nai rit chaDhi hai to mujhe kya

    main pyar ke zaKHmon ka parastar hun gul-chin

    idrak ki shadab kali hai to mujhe kya

    KHatir mein talatum ko bhi lata nahin hamdam

    kashti koi sahil pe lagi hai to mujhe kya

    raushan hai mere dil mein teri yaad ka suraj

    jugnu ki shab-e-gham se Thani hai to mujhe kya

    'mufti' meri aankhon ne faqat ashk bahae

    hasil tujhe duniya ki KHushi hai to mujhe kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now