muttaqi sab chhaT gae mujrim hi mujrim rah gae
muttaqī sab chhaT ga.e mujrim hī mujrim rah ga.e
josh meñ ab rahmat-e-parvardigār aane ko hai
vasl kā iqrār karke kar diyā hai be-qarār
nā-umīdī meñ bhī jab dekhā qarār aane ko hai
vo suneñ ahvāl-e-dard-e-dil ḳhudā kī shaan hai
ye ghaḌī ai dil kahīñ phir baar baar aane ko hai
aish kī hasrat abas hai fikr-e-ranj-o-ġham fuzūl
maut jab har haal meñ anjām-e-kār aane ko hai
maut kā to ġham nahīñ aatī hai aa.egī zarūr
maut se pahle to shām-e-intizār aane ko hai
mil ga.iiñ jab ḳhaak meñ sab hasrateñ apnī 'munīr'
ham ko kyā gulshan meñ jo fasl-e-bahār aane ko hai
muttaqi sab chhaT gae mujrim hi mujrim rah gae
josh mein ab rahmat-e-parwardigar aane ko hai
wasl ka iqrar karke kar diya hai be-qarar
na-umidi mein bhi jab dekha qarar aane ko hai
wo sunen ahwal-e-dard-e-dil KHuda ki shan hai
ye ghaDi ai dil kahin phir bar bar aane ko hai
aish ki hasrat abas hai fikr-e-ranj-o-gham fuzul
maut jab har haal mein anjam-e-kar aane ko hai
maut ka to gham nahin aati hai aaegi zarur
maut se pahle to sham-e-intizar aane ko hai
mil gain jab KHak mein sab hasraten apni 'munir'
hum ko kya gulshan mein jo fasl-e-bahaar aane ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.