mund kar bas aankh apni un manazir ke KHilaf
muuñd kar bas aañkh apnī un manāzir ke ḳhilāf
kar rahe haiñ ham baġhāvat daur-e-hāzir ke ḳhilāf
tujh talak āvāz merī jaate jaate kho ga.ī
rāste sab ho ga.e haiñ is musāfir ke ḳhilāf
hausla jo hai to lalkāro ḳhudā ko bhī kabhī
kyā milegā tum ko ho kar ham se kāfir ke ḳhilāf
ek adnā dil ke hāthoñ donoñ haiñ majbūr ham
aao thāmeñ haath ham us shai-e-shātir ke ḳhilāf
ik taraf thā maiñ nihatthā ik taraf vo gul-badan
ishq kī baazī maiñ haarā ek māhir ke ḳhilāf
ek ik kar ke sabhī purze usī ke ho ga.e
ab badan meñ huuñ maiñ tanhā husn-e-jābir ke ḳhilāf
'āshnā' phir ḳhvāb meñ aayā nahīñ tū raat bhar
tū bhī shāyad ho gayā hai ek shā.ir ke ḳhilāf
mund kar bas aankh apni un manazir ke KHilaf
kar rahe hain hum baghawat daur-e-hazir ke KHilaf
tujh talak aawaz meri jate jate kho gai
raste sab ho gae hain is musafir ke KHilaf
hausla jo hai to lalkaro KHuda ko bhi kabhi
kya milega tum ko ho kar hum se kafir ke KHilaf
ek adna dil ke hathon donon hain majbur hum
aao thamen hath hum us shai-e-shatir ke KHilaf
ek taraf tha main nihattha ek taraf wo gul-badan
ishq ki bazi main haara ek mahir ke KHilaf
ek ek kar ke sabhi purze usi ke ho gae
ab badan mein hun main tanha husn-e-jabir ke KHilaf
'ashna' phir KHwab mein aaya nahin tu raat bhar
tu bhi shayad ho gaya hai ek shair ke KHilaf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.