musa samjhe the arman nikal jaega
muusā samjhe the armāñ nikal jā.egā
ye ḳhabar hī na thī tuur jal jā.egā
merī bālīñ pe rone se kiyā fā.eda
kyā mirī maut kā vaqt Tal jā.egā
kyā ayādat ko us vaqt aaoge tum
jab hamārā janāza nikal jā.egā
kam-sinī meñ hī kahtī thī terī nazar
tū javāñ ho ke āñkheñ badal jā.egā
sab ko duniyā se jaanā hai ik din 'qamar'
rah gayā aaj koī to kal jā.egā
musa samjhe the arman nikal jaega
ye KHabar hi na thi tur jal jaega
meri baalin pe rone se kiya faeda
kya meri maut ka waqt Tal jaega
kya ayaadat ko us waqt aaoge tum
jab hamara janaza nikal jaega
kam-sini mein hi kahti thi teri nazar
tu jawan ho ke aankhen badal jaega
sab ko duniya se jaana hai ek din 'qamar'
rah gaya aaj koi to kal jaega
- Book : Auj-Qamar (Pg. 91)
- Author : Ustad Sayed Mohd. Hussain Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat Ali And Sons (1952)
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.