muzhda ye saba us but-e-be-bak ko pahuncha
muzhda ye saba us but-e-be-bak ko pahuncha
Mirza Mohammad Taqi Hawas
MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas
muzhda ye sabā us but-e-be-bāk ko pahuñchā
ye dūd-e-dil-e-soḳhta aflāk ko pahuñchā
paiġhām zabānī to nasīboñ meñ kahāñ thā
naama bhī na terā tire ġhamnāk ko pahuñchā
sad-chāk kiyā pairhan-e-gul ko sabā ne
jab vo na tirī ḳhūbī-e-poshāk ko pahuñchā
sahrā meñ 'havas' ḳhār-e-muġhīlāñ kī madad se
baare mirā ḳhuuñ har ḳhas-o-ḳhāshāk ko pahuñchā
muzhda ye saba us but-e-be-bak ko pahuncha
ye dud-e-dil-e-soKHta aflak ko pahuncha
paigham zabani to nasibon mein kahan tha
nama bhi na tera tere ghamnak ko pahuncha
sad-chaak kiya pairhan-e-gul ko saba ne
jab wo na teri KHubi-e-poshak ko pahuncha
sahra mein 'hawas' KHar-e-mughilan ki madad se
bare mera KHun har KHas-o-KHashak ko pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.