muztar teri yaadon mein diwana raha aksar
muztar tirī yādoñ meñ dīvāna rahā aksar
an-jānā rahā aksar begāna rahā aksar
saa.il kī sadā.eñ thiiñ yā dost koī apnā
shab-bhar tirī aahaT kā afsāna rahā aksar
ham par bhī nazar uTThe ham se bhī takallum ho
ḳhālī tirī mahfil meñ paimāna rahā aksar
shāyad tirī āñkhoñ meñ ashkoñ kā charāġhāñ hai
gum-sum tirī hastī meñ parvāna rahā aksar
kis darja mohabbat se har jā ko sañvārā thā
mahrūm-e-tamannā hī vīrāna rahā aksar
us dil ke samundar meñ har siip meñ motī hai
chāhat kā mirī itnā nazrāna rahā aksar
muztar teri yaadon mein diwana raha aksar
an-jaana raha aksar begana raha aksar
sail ki sadaen thin ya dost koi apna
shab-bhar teri aahaT ka afsana raha aksar
hum par bhi nazar uTThe hum se bhi takallum ho
KHali teri mahfil mein paimana raha aksar
shayad teri aankhon mein ashkon ka charaghan hai
gum-sum teri hasti mein parwana raha aksar
kis darja mohabbat se har ja ko sanwara tha
mahrum-e-tamanna hi virana raha aksar
us dil ke samundar mein har sip mein moti hai
chahat ka meri itna nazrana raha aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.