muztarib aur hua zauq-e-nazar aaKHir-e-shab
muztarib aur huā zauq-e-nazar āḳhir-e-shab
band ummīd ke sab ho ga.e dar āḳhir-e-shab
ai asīrān-e-qafas mere alāva tum ko
koī degā na bahāroñ kī ḳhabar āḳhir-e-shab
ham se hotā bhī ilāj-e-dil-e-betāb to kyā
aur baḌhtā hī gayā dard-e-jigar āḳhir-e-shab
jo ġharīboñ ke haiñ hamdard unheñ yaad nahīñ
kitne logoñ ke jalā.e ga.e ghar āḳhir-e-shab
zindagī qābil-e-tāzīm banī duniyā meñ
un ke jalvoñ se jo Takrā.ī nazar āḳhir-e-shab
fahm-o-idrāk ke ajzā-e-pareshāñ kī qasam
rang laayā mire nāloñ kā asar āḳhir-e-shab
is tarah bah chale āñkhoñ se musalsal aañsū
ho 'sahar' jaise sitāroñ kā safar āḳhir-e-shab
muztarib aur hua zauq-e-nazar aaKHir-e-shab
band ummid ke sab ho gae dar aaKHir-e-shab
ai asiran-e-qafas mere alawa tum ko
koi dega na bahaaron ki KHabar aaKHir-e-shab
hum se hota bhi ilaj-e-dil-e-betab to kya
aur baDhta hi gaya dard-e-jigar aaKHir-e-shab
jo gharibon ke hain hamdard unhen yaad nahin
kitne logon ke jalae gae ghar aaKHir-e-shab
zindagi qabil-e-tazim bani duniya mein
un ke jalwon se jo Takrai nazar aaKHir-e-shab
fahm-o-idrak ke ajza-e-pareshan ki qasam
rang laya mere nalon ka asar aaKHir-e-shab
is tarah bah chale aankhon se musalsal aansu
ho 'sahar' jaise sitaron ka safar aaKHir-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.