muztarib hain sabhi taqdir badalne ke liye
muztarib haiñ sabhī taqdīr badalne ke liye
koī āmāda ho sho.aloñ pe bhī chalne ke liye
aaj ke daur meñ jiinā koī āsān nahīñ
vaqt miltā hai kahāñ gir ke sambhalne ke liye
zindagī ham ko qazā se to Darātī kyuuñ hai
ham to har-vaqt hī tayyār haiñ chalne ke liye
raaz kyuuñ saare zamāne pe ayaañ karte ho
āñsūo zid na karo ghar se nikalne ke liye
ab ke rūThe to sanam tum ko manāeñge nahīñ
ham bhī tayyār haiñ ab ḳhud ko badalne ke liye
muztarib hain sabhi taqdir badalne ke liye
koi aamada ho shoalon pe bhi chalne ke liye
aaj ke daur mein jina koi aasan nahin
waqt milta hai kahan gir ke sambhalne ke liye
zindagi hum ko qaza se to Daraati kyun hai
hum to har-waqt hi tayyar hain chalne ke liye
raaz kyun sare zamane pe ayan karte ho
aansuo zid na karo ghar se nikalne ke liye
ab ke ruThe to sanam tum ko manaenge nahin
hum bhi tayyar hain ab KHud ko badalne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.