muztarib lahron se pahle aashna hone diya
muztarib lahroñ se pahle āshnā hone diyā
phir kahīñ maiñ ne use sāhil-zada hone diyā
uḌ rahā hai āñdhiy.oñ meñ barg-e-shāḳh-e-sabz bhī
kis ne mere dil ke mausam ko harā hone diyā
sang-zādoñ meñ bhī rah kar nāzukī baaqī rahī
maiñ ne us kī shaḳhsiyat ko aa.ina hone diyā
mere pīchhe thī kisī andhe muqallid kī tarah
apnī parchhā.īñ ko bhī ḳhud se judā hone diyā
khīñch lī pahle tamām us kī bisāt-e-dastaras
aur use phir apnī marzī kā ḳhudā hone diyā
ab ke 'raunaq' mujh meñ bhī taufīq-e-dil-jūī na thī
ek muddat tak mujhe us ne ḳhafā hone diyā
muztarib lahron se pahle aashna hone diya
phir kahin main ne use sahil-zada hone diya
uD raha hai aandhiyon mein barg-e-shaKH-e-sabz bhi
kis ne mere dil ke mausam ko hara hone diya
sang-zadon mein bhi rah kar nazuki baqi rahi
main ne us ki shaKHsiyat ko aaina hone diya
mere pichhe thi kisi andhe muqallid ki tarah
apni parchhain ko bhi KHud se juda hone diya
khinch li pahle tamam us ki bisat-e-dastaras
aur use phir apni marzi ka KHuda hone diya
ab ke 'raunaq' mujh mein bhi taufiq-e-dil-jui na thi
ek muddat tak mujhe us ne KHafa hone diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.