muztarib ruh mein taskin ke saman aae
muztarib ruuh meñ taskīn ke sāmāñ aa.e
'umr meñ aise bhī lamhāt-e-farozāñ aa.e
sham'-e-ehsās-e-ḳhudī maiñ ne farozāñ kar lī
dil kī vaadī meñ hazār aane ko tūfāñ aa.e
dard baḌhtā hī gayā kuchh bhī ifāqa na huā
ġham-kadoñ meñ to bahut dard ke darmāñ aa.e
ātish-e-buġhz sulagtī hai yahāñ ghar ghar meñ
ab na bastī meñ koī vā'iz-e-nādāñ aa.e
maiñ navāzā gayā har vaqt bayābānoñ se
mere hisse meñ faqat ḳhvāb-e-gulistāñ aa.e
ḳhāna-e-dil meñ simaT aa.e haiñ chupke chupke
mas.ale kitne ba-andāz-e-ḳhirāmāñ aa.e
be-qarārī kā sitam ḳhatm huā hai jis par
phir tirī zad meñ na ai gardish-e-daurāñ aa.e
tum bhī 'betāb' zarā soch samajh kar jaanā
kūcha-e-'ishq se sab log hirāsāñ aa.e
muztarib ruh mein taskin ke saman aae
'umr mein aise bhi lamhat-e-farozan aae
sham'-e-ehsas-e-KHudi main ne farozan kar li
dil ki wadi mein hazar aane ko tufan aae
dard baDhta hi gaya kuchh bhi ifaqa na hua
gham-kadon mein to bahut dard ke darman aae
aatish-e-bughz sulagti hai yahan ghar ghar mein
ab na basti mein koi wa'iz-e-nadan aae
main nawaza gaya har waqt bayabanon se
mere hisse mein faqat KHwab-e-gulistan aae
KHana-e-dil mein simaT aae hain chupke chupke
masale kitne ba-andaz-e-KHiraman aae
be-qarari ka sitam KHatm hua hai jis par
phir teri zad mein na ai gardish-e-dauran aae
tum bhi 'betab' zara soch samajh kar jaana
kucha-e-'ishq se sab log hirasan aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.