na aae lab pe to kaghaz pe likh diya jae
na aa.e lab pe to kāġhaz pe likh diyā jaa.e
kisī ḳhayāl ko māyūs kyoñ kiyā jaa.e
kisī pe miTne miTāne se fā.eda kyā hai
maza to jab hai kisī ke liye jiyā jaa.e
vo dekhtā hai vazāhat-talab nigāhoñ se
maiñ chāhtā huuñ ishāra samajh liyā jaa.e
ye soch kar ki akele safar pe jaanā hai
ye chāhtā huuñ safar multavī kiyā jaa.e
nazar bachā.e guzar jā.ūñ paas se us ke
use bhī aaj zarā sā Darā diyā jaa.e
haiñ mai-kade bhī khule aur chā.e-ḳhāne bhī
chalo 'aqīl' kahīñ chal ke kuchh piyā jaa.e
na aae lab pe to kaghaz pe likh diya jae
kisi KHayal ko mayus kyon kiya jae
kisi pe miTne miTane se faeda kya hai
maza to jab hai kisi ke liye jiya jae
wo dekhta hai wazahat-talab nigahon se
main chahta hun ishaara samajh liya jae
ye soch kar ki akele safar pe jaana hai
ye chahta hun safar multawi kiya jae
nazar bachae guzar jaun pas se us ke
use bhi aaj zara sa Dara diya jae
hain mai-kade bhi khule aur chae-KHane bhi
chalo 'aqil' kahin chal ke kuchh piya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.