na aaenge lauT kar wo phir bhi main umr bhar intizar kar lun
na aaenge lauT kar wo phir bhi main umr bhar intizar kar lun
Aseer Jabalpuri
MORE BYAseer Jabalpuri
na ā.eñge lauT kar vo phir bhī maiñ umr bhar intizār kar luuñ
idhar to aa ai ġham-e-mohabbat tujhe hī jī bhar ke pyaar kar luuñ
na jaane kab tak Dhale shab-e-ġham na jaane sub.h-e-umīd kab ho
qadam qadam par bichhā luuñ taare nafas nafas sho.ala-bār kar luuñ
kabhī ayādat huī na us se kabhī kisī se na haal pūchhā
marīz-e-ġham par vo mehrbāñ hai ye kaise maiñ e.atibār kar luuñ
abhī salāmat hai azm-e-mohkam abhī hai baaqī lahū ragoñ meñ
ulaT ke rakh duuñ nizām-e-gulshan ḳhizāñ ba-rang-e-bahār kar luuñ
zarā Thahar ai junūn-e-ulfat tū le chalā hai kahāñ abhī se
matā-e-dil jab luTā chukā huuñ to jaañ bhī un par nisār kar luuñ
yahīñ bichhaḌ ke maiñ ro paḌā thā yahīñ hai bhīgā zamīñ kā āñchal
yahīñ phir us se milan bhī hogā yahīñ pe maiñ intizār kar luuñ
nahīñ hai baaqī agar patange to rah ke tanhā udaas hogī
lahad se uTh kar 'asīr' maiñ hī tavāf-e-sham.a-e-mazār kar luuñ
na aaenge lauT kar wo phir bhi main umr bhar intizar kar lun
idhar to aa ai gham-e-mohabbat tujhe hi ji bhar ke pyar kar lun
na jaane kab tak Dhale shab-e-gham na jaane subh-e-umid kab ho
qadam qadam par bichha lun tare nafas nafas shoala-bar kar lun
kabhi ayaadat hui na us se kabhi kisi se na haal puchha
mariz-e-gham par wo mehrban hai ye kaise main eatibar kar lun
abhi salamat hai azm-e-mohkam abhi hai baqi lahu ragon mein
ulaT ke rakh dun nizam-e-gulshan KHizan ba-rang-e-bahaar kar lun
zara Thahar ai junun-e-ulfat tu le chala hai kahan abhi se
mata-e-dil jab luTa chuka hun to jaan bhi un par nisar kar lun
yahin bichhaD ke main ro paDa tha yahin hai bhiga zamin ka aanchal
yahin phir us se milan bhi hoga yahin pe main intizar kar lun
nahin hai baqi agar patange to rah ke tanha udas hogi
lahad se uTh kar 'asir' main hi tawaf-e-shama-e-mazar kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.