na aai jis ki sahar ek raat aisi bhi
na aa.ī jis kī sahar ek raat aisī bhī
guzār aa.e magar ek raat aisī bhī
idhar guzartī haiñ jaise azaab meñ rāteñ
guzartī kaash udhar ek raat aisī bhī
bujhā sakūñ maiñ diyoñ ko ḳhushī ḳhushī jis meñ
tū merī nazr to kar ek raat aisī bhī
judā hai dasht kī shab tere shahr kī shab se
le chal sameT ke ghar ek raat aisī bhī
maiñ jāntā huuñ na niklegā raat meñ sūraj
maiñ chāhtā huuñ magar ek raat aisī bhī
vo jis meñ aañkh hī ḳhvāboñ se rashk kartī thī
'ziyā' ne kī hai basar ek raat aisī bhī
na aai jis ki sahar ek raat aisi bhi
guzar aae magar ek raat aisi bhi
idhar guzarti hain jaise azab mein raaten
guzarti kash udhar ek raat aisi bhi
bujha sakun main diyon ko KHushi KHushi jis mein
tu meri nazr to kar ek raat aisi bhi
juda hai dasht ki shab tere shahr ki shab se
le chal sameT ke ghar ek raat aisi bhi
main jaanta hun na niklega raat mein suraj
main chahta hun magar ek raat aisi bhi
wo jis mein aankh hi KHwabon se rashk karti thi
'ziya' ne ki hai basar ek raat aisi bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.