na aana tha na aaKHir mujhko andaz-e-bayan aaya
na aana tha na aaKHir mujhko andaz-e-bayan aaya
Syed Shafaq Shah Chishti
MORE BYSyed Shafaq Shah Chishti
na aanā thā na āḳhir mujh ko andāz-e-bayāñ aayā
karam to dekhiye us dar se phir bhī shādmāñ aayā
nazar aane lagī ab to tajallī-pairahan har shai
jabīn-e-shauq sajda kar ki un kā āstāñ aayā
duhā.ī hai shu.ūr-e-bandagī terī duhā.ī hai
vo aayā vo maqām-e-sajda-e-dil nā-gahāñ aayā
agar sādiq hai zauq-e-justujū to ek din ai dil
pukār uTTheñge ḳhud zarre vo un kā āstāñ aayā
achānak mach ga.ī halchal sī duniyā-e-tahammul meñ
sar-e-mizhgāñ jab apne āñsuoñ kā kārvāñ aayā
ham hī kuchh jānte haiñ qīmat in paanī ke qatroñ kī
inhīñ ashkoñ kā sadqa hai ki andāz-e-bayāñ aayā
'shafaq' mujh sā bhī nākām-e-tamannā koī kyā hogā
huī mujh ko talāsh apnī jab un kā āstāñ aayā
na aana tha na aaKHir mujh ko andaz-e-bayan aaya
karam to dekhiye us dar se phir bhi shadman aaya
nazar aane lagi ab to tajalli-pairahan har shai
jabin-e-shauq sajda kar ki un ka aastan aaya
duhai hai shuur-e-bandagi teri duhai hai
wo aaya wo maqam-e-sajda-e-dil na-gahan aaya
agar sadiq hai zauq-e-justuju to ek din ai dil
pukar uTThenge KHud zarre wo un ka aastan aaya
achanak mach gai halchal si duniya-e-tahammul mein
sar-e-mizhgan jab apne aansuon ka karwan aaya
hum hi kuchh jaante hain qimat in pani ke qatron ki
inhin ashkon ka sadqa hai ki andaz-e-bayan aaya
'shafaq' mujh sa bhi nakaam-e-tamanna koi kya hoga
hui mujh ko talash apni jab un ka aastan aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.