na aane ke un ke bahane bhi dekhe
na aane ke un ke bahāne bhī dekhe
baḌe sañg-dil vo zamāne bhī dekhe
udhar bulbuleñ ro rahī haiñ qafas ko
ki sayyād gaate tarāne bhī dekhe
ġhamoñ ko bhulāne jo nikle haiñ ghar se
isī dhun meñ kuchh bāda-ḳhāne bhī dekhe
na paayā unheñ ho ke māyūs lauTe
sabhī ham ne un ke Thikāne bhī dekhe
kabhī aa.egā vaqt 'mahtāb' apnā
bahut ham ne un ke zamāne bhī dekhe
na aane ke un ke bahane bhi dekhe
baDe sang-dil wo zamane bhi dekhe
udhar bulbulen ro rahi hain qafas ko
ki sayyaad gate tarane bhi dekhe
ghamon ko bhulane jo nikle hain ghar se
isi dhun mein kuchh baada-KHane bhi dekhe
na paya unhen ho ke mayus lauTe
sabhi hum ne un ke Thikane bhi dekhe
kabhi aaega waqt 'mahtab' apna
bahut hum ne un ke zamane bhi dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.