na aankhen surKH rakhte hain na chehre zard rakhte hain
na āñkheñ surḳh rakhte haiñ na chehre zard rakhte haiñ
ye zālim log bhī insāniyat kā dard rakhte haiñ
mujhe shak hai ki tum tiira shaboñ meñ kaise nikloge
chaTāneñ kāTne kā hausla to mard rakhte haiñ
mohabbat karne vāloñ kī tumheñ pahchān batlā.ūñ
diloñ meñ aag ke bā-vasf siina sard rakhte haiñ
havā ne ahl-e-sahrā ko 'ajab malbūs baḳhshā hai
saroñ par log pagḌī ke bajā.e gard rakhte haiñ
use dekhā to chehra Dhāñp loge apne hāthoñ se
ham apne sāthiyoñ meñ 'rām' aisā fard rakhte haiñ
na aankhen surKH rakhte hain na chehre zard rakhte hain
ye zalim log bhi insaniyat ka dard rakhte hain
mujhe shak hai ki tum tera shabon mein kaise nikloge
chaTanen kaTne ka hausla to mard rakhte hain
mohabbat karne walon ki tumhein pahchan batlaun
dilon mein aag ke ba-wasf sina sard rakhte hain
hawa ne ahl-e-sahra ko 'ajab malbus baKHsha hai
saron par log pagDi ke bajae gard rakhte hain
use dekha to chehra Dhanp loge apne hathon se
hum apne sathiyon mein 'ram' aisa fard rakhte hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 372)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.