na aap aae na bedad-e-intizar gai
na aap aa.e na bedād-e-intizār ga.ī
ye raat phir mirī āñkhoñ se aaj haar ga.ī
liye hue koī afsāna-e-bahār ga.ī
sabā chaman se bahut aaj sogvār ga.ī
huī jo sub.h to ashkoñ se jagmagā uTThī
jo aa.ī shaam to yādoñ se mushk-bār ga.ī
isī nigāh ne maarā alam-parastoñ ko
vahī nigāh mirī zindagī sañvār ga.ī
zamīn-e-kū-e-malāmat bhī ḳhair raah meñ thī
kahāñ kahāñ liye mauj-e-ḳhirām-e-yār ga.ī
na aap aae na bedad-e-intizar gai
ye raat phir meri aankhon se aaj haar gai
liye hue koi afsana-e-bahaar gai
saba chaman se bahut aaj sogwar gai
hui jo subh to ashkon se jagmaga uTThi
jo aai sham to yaadon se mushk-bar gai
isi nigah ne mara alam-paraston ko
wahi nigah meri zindagi sanwar gai
zamin-e-ku-e-malamat bhi KHair rah mein thi
kahan kahan liye mauj-e-KHiram-e-yar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.