na aasman ko chhu kar na hi takan ke baad
na āsmān ko chhū kar na hī takān ke baa'd
parind lauT ke aayā hai kuchh uḌaan ke baa'd
bichhaḌ ke maañ se kaḌī dhuup meñ jale aksar
milā sukūn kahāñ us ke sā.ebān ke baa'd
sukūn paa.e to paa.e bhī kis tarah insāñ
haiñ imtihān ka.ī ek imtihān ke baa'd
phir us ke paañv kī zanjīr ban ga.ī ġhurbat
banā sakā na koī ghar jale makān ke baa'd
ḳhushī se ghar thā mo.attar ajab sī raunaq thī
udaas ho gayā māhaul mehmān ke baa'd
jo lūTte haiñ maze farsh-e-gul ke bistar par
vo farsh-e-ḳhāk pe so.eñge is jahān ke baa'd
kisī uḌaan ko me.arāj-e-fan samajhnā kyā
haiñ āsmān ka.ī 'nasr' āsmān ke baa'd
na aasman ko chhu kar na hi takan ke ba'd
parind lauT ke aaya hai kuchh uDan ke ba'd
bichhaD ke man se kaDi dhup mein jale aksar
mila sukun kahan us ke saeban ke ba'd
sukun pae to pae bhi kis tarah insan
hain imtihan kai ek imtihan ke ba'd
phir us ke panw ki zanjir ban gai ghurbat
bana saka na koi ghar jale makan ke ba'd
KHushi se ghar tha moattar ajab si raunaq thi
udas ho gaya mahaul mehman ke ba'd
jo luTte hain maze farsh-e-gul ke bistar par
wo farsh-e-KHak pe soenge is jahan ke ba'd
kisi uDan ko mearaj-e-fan samajhna kya
hain aasman kai 'nasr' aasman ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.