na aasman se shikayat na baghban se mujhe
na āsmāñ se shikāyat na bāġhbāñ se mujhe
mire junūñ ne nikālā hai gulsitāñ se mujhe
ġham-e-habīb ye ehsāñ tirā na bhūlūñgā
ki be-niyāz kiyā tū ne do jahāñ se mujhe
fareb-e-vahm-o-gumāñ hai tilism-e-ilm-o-yaqīñ
ye dars-e-ḳhās milā sa.ī-e-rā.egāñ se mujhe
baḌe maze se guzartī jo dil pe bas hotā
najāt miltī nahīñ is balā-e-jāñ se mujhe
ye dair hai na haram us kī bazm hai 'rāhī'
azal se ek ta.alluq rahā hai yaañ se mujhe
na aasman se shikayat na baghban se mujhe
mere junun ne nikala hai gulsitan se mujhe
gham-e-habib ye ehsan tera na bhulunga
ki be-niyaz kiya tu ne do jahan se mujhe
fareb-e-wahm-o-guman hai tilism-e-ilm-o-yaqin
ye dars-e-KHas mila sai-e-raegan se mujhe
baDe maze se guzarti jo dil pe bas hota
najat milti nahin is bala-e-jaan se mujhe
ye dair hai na haram us ki bazm hai 'rahi'
azal se ek talluq raha hai yan se mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.