na ab wo dil hai na wo dard-e-dil ke afsane
na ab wo dil hai na wo dard-e-dil ke afsane
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
na ab vo dil hai na vo dard-e-dil ke afsāne
ġham-e-jahāñ ne ye kyā kar diyā ḳhudā jaane
na iztirāb na rāhat na aarzū na gurez
dhuāñ dhuāñ haiñ faqat zindagī ke kāshāne
zamīñ kī tangī-e-dāmāñ se tang-dil ho kar
chale haiñ sū-e-falak irtiqā ke divāne
musāfiroñ ke lahū se jalā jalā ke charāġh
ye kaun uThā hai zamāne ko raah dikhlāne
hazār jām-e-fareb-e-nazar piye lekin
mujhe sañbhāl liyā merī laġhzish-e-pā ne
shu.ūr-o-fikr ke jalte hue charāġhoñ meñ
hayāt-e-nau ke murattab hue haiñ afsāne
hamārā dast-e-tasarruf bahār par hotā
to aaj ḳhār-ba-dāmāñ na hote vīrāne
baḌhā ga.e haiñ ujāloñ kī zindagī kitnī
siyāh raat meñ jal jal ke aaj parvāne
ġham-e-zamāna ġham-e-zindagī ġham-e-jānāñ
ye haiñ 'kalīm' mire mai-kade ke paimāne
na ab wo dil hai na wo dard-e-dil ke afsane
gham-e-jahan ne ye kya kar diya KHuda jaane
na iztirab na rahat na aarzu na gurez
dhuan dhuan hain faqat zindagi ke kashane
zamin ki tangi-e-daman se tang-dil ho kar
chale hain su-e-falak irtiqa ke diwane
musafiron ke lahu se jala jala ke charagh
ye kaun uTha hai zamane ko rah dikhlane
hazar jam-e-fareb-e-nazar piye lekin
mujhe sanbhaal liya meri laghzish-e-pa ne
shuur-o-fikr ke jalte hue charaghon mein
hayat-e-nau ke murattab hue hain afsane
hamara dast-e-tasarruf bahaar par hota
to aaj KHar-ba-daman na hote virane
baDha gae hain ujalon ki zindagi kitni
siyah raat mein jal jal ke aaj parwane
gham-e-zamana gham-e-zindagi gham-e-jaanan
ye hain 'kalim' mere mai-kade ke paimane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.