na ahl-e-dil se na ahl-e-nazar se milta hai
na ahl-e-dil se na ahl-e-nazar se miltā hai
shu.ūr-e-zāt faqat apne dar se miltā hai
tumhāre faiz se khilte haiñ zindagī meñ gulāb
junūñ ko rang tumhārī nazar se miltā hai
bikhar rahī haiñ ziyā.eñ nikhar rahī hai fazā
tumhārā husn jamāl-e-sahar se miltā hai
faroġh-e-shauq hai yā irtiqā-e-jazb-e-darūñ
patā ab apnā tumhārī ḳhabar se miltā hai
vahī hai hāsil-e-ishrat vahī vaqār-e-hayāt
sukūn-e-dil jo ġham-e-mo'tabar se miltā hai
kahāñ phir izn-e-safar mil ga.ī agar manzil
safar kā zauq faqat rahguzar se miltā hai
vo kam-suḳhan haiñ magar ham se be-niyāz nahīñ
surāġh-e-dil suḳhan-e-muḳhtasar se miltā hai
nisār us pe do-ālam ke mai-kade 'parvez'
vo ek jaam jo un kī nazar se miltā hai
na ahl-e-dil se na ahl-e-nazar se milta hai
shuur-e-zat faqat apne dar se milta hai
tumhaare faiz se khilte hain zindagi mein gulab
junun ko rang tumhaari nazar se milta hai
bikhar rahi hain ziyaen nikhar rahi hai faza
tumhaara husn jamal-e-sahar se milta hai
farogh-e-shauq hai ya irtiqa-e-jazb-e-darun
pata ab apna tumhaari KHabar se milta hai
wahi hai hasil-e-ishrat wahi waqar-e-hayat
sukun-e-dil jo gham-e-mo'tabar se milta hai
kahan phir izn-e-safar mil gai agar manzil
safar ka zauq faqat rahguzar se milta hai
wo kam-suKHan hain magar hum se be-niyaz nahin
suragh-e-dil suKHan-e-muKHtasar se milta hai
nisar us pe do-alam ke mai-kade 'parwez'
wo ek jam jo un ki nazar se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.