na alfaz pahunchen na mani wahan tak
na alfāz pahuñcheñ na mā'nī vahāñ tak
kahūñ husn kī had kahāñ se kahāñ tak
bahut duur haiñ asliyat se fasāne
baḌā fāsla hai diloñ se zabāñ tak
guzar jā mohabbat meñ bīm-o-rajā se
mohabbat meñ ḳhāmī hai sūd-o-ziyāñ tak
usī se umīd-e-navazish hai dil ko
hañsī meñ uḌā le gayā jo fuġhāñ tak
du'ā lab pe aatī hai dil se nikal kar
zamīñ se pahuñchtī hai baat āsmāñ tak
'zahīn' aaj āfāq ban kar 'ayāñ hai
jo ik harf aayā thā merī zabāñ tak
na alfaz pahunchen na ma'ni wahan tak
kahun husn ki had kahan se kahan tak
bahut dur hain asliyat se fasane
baDa fasla hai dilon se zaban tak
guzar ja mohabbat mein bim-o-raja se
mohabbat mein KHami hai sud-o-ziyan tak
usi se umid-e-nawazish hai dil ko
hansi mein uDa le gaya jo fughan tak
du'a lab pe aati hai dil se nikal kar
zamin se pahunchti hai baat aasman tak
'zahin' aaj aafaq ban kar 'ayan hai
jo ek harf aaya tha meri zaban tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.