na apnī quvvat-e-dānish na qudrat-e-bīnish
suḳhanvaroñ ne na chhoḌī gadāgaroñ kī ravish
taqāza garche zamāne kā hai sukūt-talab
zamīr chīḳh rahā hai laboñ ko do jumbish
huā ye haal ki hāthoñ se haal bhī phislā
sameTne kī jo maazī ko maiñ ne kī koshish
shafaq ke ḳhuun kā ġhāza hai shaam ke ruḳh par
mah-o-nujūm ne sūraj se chhīn lī tābish
'alāmatoñ ke tarāsheñ na.e na.e paikar
'urūs-e-lafz ko pahnā.iye na.ī poshish
ġham-e-hayāt huā hai 'azāb-e-jāñ 'nāvak'
sulā.iye abadī niiñd de ke mujh ko vish
na apni quwwat-e-danish na qudrat-e-binish
suKHanwaron ne na chhoDi gadagaron ki rawish
taqaza garche zamane ka hai sukut-talab
zamir chiKH raha hai labon ko do jumbish
hua ye haal ki hathon se haal bhi phisla
sameTne ki jo mazi ko main ne ki koshish
shafaq ke KHun ka ghaza hai sham ke ruKH par
mah-o-nujum ne suraj se chhin li tabish
'alamaton ke tarashen nae nae paikar
'urus-e-lafz ko pahnaiye nai poshish
gham-e-hayat hua hai 'azab-e-jaan 'nawak'
sulaiye abadi nind de ke mujh ko wish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.