na apnon se koi shikwa na beganon ka rona hai
na apnoñ se koī shikva na begānoñ kā ronā hai
jo puure ho nahīñ sakte un armānoñ kā ronā hai
baḌī tahzīb se ahl-e-ġham-e-dil sar jhukā.e haiñ
na zanjīroñ kā shikva hai na zindānoñ kā ronā hai
agar tujh ko yaqīñ aa.e to sab terā tasarruf hai
na dīvānoñ kā hañsnā hai na dīvānoñ kā ronā hai
na apnon se koi shikwa na beganon ka rona hai
jo pure ho nahin sakte un armanon ka rona hai
baDi tahzib se ahl-e-gham-e-dil sar jhukae hain
na zanjiron ka shikwa hai na zindanon ka rona hai
agar tujh ko yaqin aae to sab tera tasarruf hai
na diwanon ka hansna hai na diwanon ka rona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.