na bahar hi lage hai dil na ghar jaane ko ji chahe
na bahar hi lage hai dil na ghar jaane ko ji chahe
Nadim Ashrafi Burhanpuri
MORE BYNadim Ashrafi Burhanpuri
na bāhar hī lage hai dil na ghar jaane ko jī chāhe
samajh meñ kuchh nahīñ aatā kidhar jaane ko jī chāhe
baḌī hangāma-parvar haiñ mirī tanhā.iyāñ yuuñ to
kisī kī anjuman meñ bhī magar jaane ko jī chāhe
salīb-o-dār kī rāheñ ye bastī aur ye vīrāne
batā zauq-e-junūñ terā kidhar jaane ko jī chāhe
milānā muskurā kar apnī nazreñ un kī nazroñ se
jab ai shīrāza-e-hastī bikhar jaane ko jī chāhe
bhaTaktā phir rahā huuñ dar-ba-dar din ke ujāloñ meñ
añdhere shaam ke bikhreñ to ghar jaane ko jī chāhe
pa-e-tafrīh jaane kis taraf vo ruḳh kareñ apnā
ujāloñ kī tarah har-sū bikhar jaane ko jī chāhe
ye duniyā jabki ranj-o-dard se māmūr hai 'nādim'
magar phir bhī yahāñ apnā Thahar jaane ko jī chāhe
na bahar hi lage hai dil na ghar jaane ko ji chahe
samajh mein kuchh nahin aata kidhar jaane ko ji chahe
baDi hangama-parwar hain meri tanhaiyan yun to
kisi ki anjuman mein bhi magar jaane ko ji chahe
salib-o-dar ki rahen ye basti aur ye virane
bata zauq-e-junun tera kidhar jaane ko ji chahe
milana muskura kar apni nazren un ki nazron se
jab ai shiraaza-e-hasti bikhar jaane ko ji chahe
bhaTakta phir raha hun dar-ba-dar din ke ujalon mein
andhere sham ke bikhren to ghar jaane ko ji chahe
pa-e-tafrih jaane kis taraf wo ruKH karen apna
ujalon ki tarah har-su bikhar jaane ko ji chahe
ye duniya jabki ranj-o-dard se mamur hai 'nadim'
magar phir bhi yahan apna Thahar jaane ko ji chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.