Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na bap man se na baji chachi chacha se gharaz

Shaida Allahabadi

na bap man se na baji chachi chacha se gharaz

Shaida Allahabadi

na baap maañ se na baajī chachī chachā se ġharaz

ġharaz hai apnī to us be-ġharaz ḳhudā se ġharaz

nigoḌe mardoñ ko landan sair bhaa.ī hai

na un ko ka.abe se matlab na kālkā se ġharaz

na zindagī ko maiñ jānūñ na maut ko jānūñ

na ibtidā se ġharaz hai na intihā se ġharaz

ḳhudā ko kaam hai bandoñ āzmā.ish se

namāz roze se matlab na iltijā se ġharaz

ḳhasam chhuḌā kisī bhaḌve muñh nahīñ dekhā

hayā ko kaam hai ham se hameñ hayā se ġharaz

huā hai bībiyo paidā valī ke ghar shaitān

rasūl se jise matlab na kuchh ḳhudā se ġharaz

ye taj ke baiThī haiñ 'shaidā' pe diin duniyā ko

ḳhasam se kaam hai in ko na āshnā se ġharaz

na bap man se na baji chachi chacha se gharaz

gharaz hai apni to us be-gharaz KHuda se gharaz

nigoDe mardon ko landan ki sair bhai hai

na un ko kabe se matlab na kalka se gharaz

na zindagi ko main jaanun na maut ko jaanun

na ibtida se gharaz hai na intiha se gharaz

KHuda ko kaam hai bandon ki aazmaish se

namaz roze se matlab na iltija se gharaz

KHasam chhuDa kisi bhaDwe ka munh nahin dekha

haya ko kaam hai hum se hamein haya se gharaz

hua hai bibiyo paida wali ke ghar shaitan

rasul se jise matlab na kuchh KHuda se gharaz

ye taj ke baiThi hain 'shaida' pe din duniya ko

KHasam se kaam hai in ko na aashna se gharaz

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now