na bach paunga main ki biwiyan donon taraf se hain
na bach paunga main ki biwiyan donon taraf se hain
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
na bach pā.ūñgā maiñ ki bīviyāñ donoñ taraf se haiñ
mire sar par barastī jūtiyāñ donoñ taraf se haiñ
milī hai chor se police milā ġhunDoñ se har netā
azal se in meñ sājhe-dāriyāñ donoñ taraf se haiñ
na laḌke ko pasañd laḌkī na laḌkī ko pasañd laḌkā
magar shādī kī sab tayyāriyāñ donoñ taraf se haiñ
damā kī vo marīza hai mujhe khāñsī ne gherā hai
buḌhāpe meñ baḌī majbūriyāñ donoñ taraf se haiñ
vo ho sasurāl yā maika ye kahtī hai bahū mujh se
mere kāñdhe pe zimmedāriyāñ donoñ taraf se haiñ
minister hoñ ki chaprāsī vo achchhā ho nahīñ saktā
ki public ke liye makkāriyāñ donoñ taraf se haiñ
tarannum hī kuchh aisā thā bichāra kyā kare 'vāhid'
ki hullaḌ aur na.are bāziyāñ donoñ taraf se haiñ
na bach paunga main ki biwiyan donon taraf se hain
mere sar par barasti jutiyan donon taraf se hain
mili hai chor se police mila ghunDon se har neta
azal se in mein sajhe-dariyan donon taraf se hain
na laDke ko pasand laDki na laDki ko pasand laDka
magar shadi ki sab tayyariyan donon taraf se hain
dama ki wo mariza hai mujhe khansi ne ghera hai
buDhape mein baDi majburiyan donon taraf se hain
wo ho sasural ya maika ye kahti hai bahu mujh se
mere kandhe pe zimmedariyan donon taraf se hain
minister hon ki chaprasi wo achchha ho nahin sakta
ki public ke liye makkariyan donon taraf se hain
tarannum hi kuchh aisa tha bichaara kya kare 'wahid'
ki hullaD aur nare baziyan donon taraf se hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.