na baiTh chup tu suna dard dard ka qissa
na baiTh chup tū sunā dard dard kā qissa
kisī bahāne uThā dard dard kā qissa
bahār ne likhī hai dāstān ḳhushiyoñ kī
ḳhizāñ kī rut ne likhā dard dard kā qissa
shab-e-firāq utarne lagī Dhalān se jab
javān hone lagā dard dard kā qissa
tumhāre jaane se us par shabāb aayā thā
tum aa.e ḳhatm huā dard dard kā qissa
alaav jis pe guzāreñ ḳhushī ḳhushī rāteñ
usī alaav meñ thā dard dard kā qissa
sunā kisī ko ise baañT le kisī ke saath
ki baḌh gayā hai 'ziyā' dard dard kā qissa
na baiTh chup tu suna dard dard ka qissa
kisi bahane uTha dard dard ka qissa
bahaar ne likhi hai dastan KHushiyon ki
KHizan ki rut ne likha dard dard ka qissa
shab-e-firaq utarne lagi Dhalan se jab
jawan hone laga dard dard ka qissa
tumhaare jaane se us par shabab aaya tha
tum aae KHatm hua dard dard ka qissa
alaw jis pe guzaren KHushi KHushi raaten
usi alaw mein tha dard dard ka qissa
suna kisi ko ise banT le kisi ke sath
ki baDh gaya hai 'ziya' dard dard ka qissa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.