na baKHsha gul ko bhi dast-e-qaza ne
na baḳhshā gul ko bhī dast-e-qazā ne
bahut minnat-samājat kī sabā ne
safar meñ rahnumā.ī ke bahāne
lagāyā barq ne mujh ko Thikāne
salāsil toḌnā mushkil nahīñ thā
mujhe rokā sadā ahd-e-vafā ne
sivā tere nahīñ kuchh dīdanī hai
manāzir haiñ sabhī sadiyoñ purāne
tavāzun rishtoñ meñ rakkhā hai qaa.em
jafā ne aap kī merī vafā ne
na baKHsha gul ko bhi dast-e-qaza ne
bahut minnat-samajat ki saba ne
safar mein rahnumai ke bahane
lagaya barq ne mujh ko Thikane
salasil toDna mushkil nahin tha
mujhe roka sada ahd-e-wafa ne
siwa tere nahin kuchh didani hai
manazir hain sabhi sadiyon purane
tawazun rishton mein rakkha hai qaem
jafa ne aap ki meri wafa ne
- Book : Falak Daricha (Pg. 32)
- Author : Mohd. Abid Ali Abid
- Publication : Mohd. Abid Ali Abid (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.