na chahat se na yaadon se na wadon se na KHwabon se
na chāhat se na yādoñ se na va.adoñ se na ḳhvāboñ se
ġhazal kā kār-ḳhāna chal rahā hai bas azāboñ se
udāsī rang ban kar har varaq par phail jaatī hai
tirī tasvīr hotī hai judā jab bhī kitāboñ se
koī gul jab nazar aa.e tab un kī yaad aatī hai
ḳhafā ham is liye rahte haiñ bāġhoñ meñ gulāboñ se
sar-e-shab āsmāñ meñ do sitāre jaise dikhte haiñ
tirī āñkheñ bhī kuchh vaisī hī dikhtī haiñ hijāboñ se
charāġhoñ ne bhī to 'nīraj' tavajjoh sab kī khoī hai
pareshāñ sirf rāteñ hī nahīñ haiñ āftāboñ se
na chahat se na yaadon se na wadon se na KHwabon se
ghazal ka kar-KHana chal raha hai bas azabon se
udasi rang ban kar har waraq par phail jati hai
teri taswir hoti hai juda jab bhi kitabon se
koi gul jab nazar aae tab un ki yaad aati hai
KHafa hum is liye rahte hain baghon mein gulabon se
sar-e-shab aasman mein do sitare jaise dikhte hain
teri aankhen bhi kuchh waisi hi dikhti hain hijabon se
charaghon ne bhi to 'niraj' tawajjoh sab ki khoi hai
pareshan sirf raaten hi nahin hain aaftabon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.