na chand ka na sitaron na aaftab ka hai
na chāñd kā na sitāroñ na āftāb kā hai
savāl ab to mirī jaañ tire javāb kā hai
ye kis ne pairahan-e-ḳhvāb chaak kar Daalā
tumhārī āñkhoñ meñ ye ḳhauf kisī azaab kā hai
duā karo ki na ho qahr-e-īzdī nāzil
ye vaqt apne gunāhoñ ke ehtisāb kā hai
kisī ne jaañ hī luTā dī vafāoñ kī ḳhātir
tumhīñ batāo ki qissa ye kis kitāb kā hai
sa.ūbat-e-safar-e-zīst se niDhāl huuñ maiñ
kuchh aisā hai ki mirā aa.ina sarāb kā hai
na chand ka na sitaron na aaftab ka hai
sawal ab to meri jaan tere jawab ka hai
ye kis ne pairahan-e-KHwab chaak kar Dala
tumhaari aankhon mein ye KHauf kisi azab ka hai
dua karo ki na ho qahr-e-izdi nazil
ye waqt apne gunahon ke ehtisab ka hai
kisi ne jaan hi luTa di wafaon ki KHatir
tumhin batao ki qissa ye kis kitab ka hai
saubat-e-safar-e-zist se niDhaal hun main
kuchh aisa hai ki mera aaina sarab ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.