na chheD nam-o-nasab aur nasl-o-rang ki baat
na chheḌ nām-o-nasab aur nasl-o-rang kī baat
ki chal nikaltī hai aksar yahīñ se jang kī baat
tumhāre shahr meñ kis kis ko aa.ina dikhlā.eñ
hazār tarah ke chehre hazār rang kī baat
har ek baat pe ta.ana har ek baat pe tanz
kabhī to yaar kiyā kar kisī se Dhang kī baat
maiñ us ke va.ada-e-fardā pe kyā yaqīñ kartā
hañsī meñ Taal gayā ek shoḳh-o-shang kī baat
uThā hai sañg-e-malāmat ba-nām-e-shīsha-e-dil
qarār paa.ī hai shīshe ke saath sang kī baat
ajiib haal hai yāroñ kī be-hisī kā 'zafar'
sukūt-e-marg kā aalam rabāb-o-chang kī baat
na chheD nam-o-nasab aur nasl-o-rang ki baat
ki chal nikalti hai aksar yahin se jang ki baat
tumhaare shahr mein kis kis ko aaina dikhlaen
hazar tarah ke chehre hazar rang ki baat
har ek baat pe tana har ek baat pe tanz
kabhi to yar kiya kar kisi se Dhang ki baat
main us ke wada-e-farda pe kya yaqin karta
hansi mein Tal gaya ek shoKH-o-shang ki baat
uTha hai sang-e-malamat ba-nam-e-shisha-e-dil
qarar pai hai shishe ke sath sang ki baat
ajib haal hai yaron ki be-hisi ka 'zafar'
sukut-e-marg ka aalam rabab-o-chang ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.