na chilmanon ki hasin sarsarahaTen hongi
na chilmanoñ kī hasīñ sarsarāhaTeñ hoñgī
na hoñge ham to kahāñ jagmagāhaTeñ hoñgī
maiñ ek bhañvrā tire baaġh meñ rahūñ na rahūñ
kise nasīb mirī gungunāhaTeñ hoñgī
kivāḌ band karo tīra-baḳhto so jaao
galī meñ yuuñ hī ujāloñ kī āhaTeñ hoñgī
na pūchh pā.eñge ahvāl-e-bebasī vo bhī
mire laboñ pe agar kapkapāhaTeñ hoñgī
lahū nichoḌ lo mumkin hai kal bahār ke baad
ragoñ meñ phailī huī sansanāhaTeñ hoñgī
vo din bhī aa.egā 'bekal' chaman ke phūloñ par
ba-nām-e-jurm-o-ḳhatā muskurāhaTeñ hoñgī
na chilmanon ki hasin sarsarahaTen hongi
na honge hum to kahan jagmagahaTen hongi
main ek bhanwra tere bagh mein rahun na rahun
kise nasib meri gungunahaTen hongi
kiwaD band karo tira-baKHto so jao
gali mein yun hi ujalon ki aahaTen hongi
na puchh paenge ahwal-e-bebasi wo bhi
mere labon pe agar kapkapahaTen hongi
lahu nichoD lo mumkin hai kal bahaar ke baad
ragon mein phaili hui sansanahaTen hongi
wo din bhi aaega 'bekal' chaman ke phulon par
ba-nam-e-jurm-o-KHata muskurahaTen hongi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.