na dasht dasht ki surat na ghar hai ghar ki tarah
na dasht dasht kī sūrat na ghar hai ghar kī tarah
badal ga.ī hai har ik shai tirī nazar kī tarah
hai lamha lamha ik anjān rahguzar kī tarah
guzar rahe haiñ shab-o-roz bhī safar kī tarah
vahī muhīb añdherā vahī diloñ pe hirās
na.ī sahar bhī nahīñ dosto sahar kī tarah
Dhalī hai raat magar mere ghar kā darvāza
khulā huā hai abhī chashm-e-rah-guzar kī tarah
shikast-o-reḳht ke bā-vasf ham khaḌe haiñ abhī
fasīl-e-shahr ke derīna bām-o-dar kī tarah
na harf aane diyā ābrū-e-fan pe kabhī
ham anjuman meñ rahe harf-e-mo'tabar kī tarah
tilism-e-lāla-o-gul tā fareb-e-dām 'afzal'
maiñ har maqām se guzrā huuñ dīda-var kī tarah
na dasht dasht ki surat na ghar hai ghar ki tarah
badal gai hai har ek shai teri nazar ki tarah
hai lamha lamha ek anjaan rahguzar ki tarah
guzar rahe hain shab-o-roz bhi safar ki tarah
wahi muhib andhera wahi dilon pe hiras
nai sahar bhi nahin dosto sahar ki tarah
Dhali hai raat magar mere ghar ka darwaza
khula hua hai abhi chashm-e-rah-guzar ki tarah
shikast-o-reKHt ke ba-wasf hum khaDe hain abhi
fasil-e-shahr ke derina baam-o-dar ki tarah
na harf aane diya aabru-e-fan pe kabhi
hum anjuman mein rahe harf-e-mo'tabar ki tarah
tilism-e-lala-o-gul ta fareb-e-dam 'afzal'
main har maqam se guzra hun dida-war ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.