na dhup dhup rahe aur na saya saya to
na dhuup dhuup rahe aur na saayā saayā to
junūn-e-shauq agar phir vahīñ pe laayā to
qadam baḌhā to luuñ ābādiyoñ kī samt magar
mujhe vo DhūñDhtā tanhā.iyoñ meñ aayā to
sulūk ḳhud se harīfāna kaun chāhegā
agarche tū ne mujhe zindagī nibhāyā to
maiñ jis kī oT meñ mausam kī maar sahtā huuñ
kahīñ khañDar bhī vo bārish ne ab ke Dhāyā to
magar ga.ī na mahak mujh se mere maazī kī
nadī kī dhaar meñ sau baar maiñ nahāyā to
sharīf log the aadī the band kamroñ ke
laraz uThe kisī ne qahqaha lagāyā to
hai rasm-o-rāh kī sūrat abhī ġhanīmat hai
nadī ne dekh mujhe haath phir hilāyā to
na dhup dhup rahe aur na saya saya to
junun-e-shauq agar phir wahin pe laya to
qadam baDha to lun aabaadiyon ki samt magar
mujhe wo DhunDhta tanhaiyon mein aaya to
suluk KHud se harifana kaun chahega
agarche tu ne mujhe zindagi nibhaya to
main jis ki oT mein mausam ki mar sahta hun
kahin khanDar bhi wo barish ne ab ke Dhaya to
magar gai na mahak mujh se mere mazi ki
nadi ki dhaar mein sau bar main nahaya to
sharif log the aadi the band kamron ke
laraz uThe kisi ne qahqaha lagaya to
hai rasm-o-rah ki surat abhi ghanimat hai
nadi ne dekh mujhe hath phir hilaya to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.