na dije dawat-e-ishrat gulon ke sae mein
na diije dāvat-e-ishrat guloñ ke saa.e meñ
ki dil ko hotī hai vahshat guloñ ke saa.e meñ
ise to ḳhāna-e-vīrāñ meñ chain miltā hai
sukūñ na pā.egī hasrat guloñ ke saa.e meñ
ḳhabar na thī ki yuuñ aa.egī ab ke fasl-e-gul
ki hogī ġham kī zarūrat guloñ ke saa.e meñ
ulajh ke rah gayā dāmān-e-shauq kāñToñ meñ
na niklī jab koī hasrat guloñ ke saa.e meñ
har ek choT ubhar aa.ī hai tamanna kī
milī hai dard meñ lazzat guloñ ke saa.e meñ
na toḌā phuul koī is liye ki ai 'sāhir'
palī hai merī mohabbat guloñ ke saa.e meñ
na dije dawat-e-ishrat gulon ke sae mein
ki dil ko hoti hai wahshat gulon ke sae mein
ise to KHana-e-viran mein chain milta hai
sukun na paegi hasrat gulon ke sae mein
KHabar na thi ki yun aaegi ab ke fasl-e-gul
ki hogi gham ki zarurat gulon ke sae mein
ulajh ke rah gaya daman-e-shauq kanTon mein
na nikli jab koi hasrat gulon ke sae mein
har ek choT ubhar aai hai tamanna ki
mili hai dard mein lazzat gulon ke sae mein
na toDa phul koi is liye ki ai 'sahir'
pali hai meri mohabbat gulon ke sae mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.