na diwaren hain aur na dar purana
na dīvāreñ haiñ aur na dar purānā
abhī tak phir bhī hai ye ghar purānā
Darā detā jagā detā hai mujh ko
darūn-e-zehn baiThā Dar purānā
marāhil āḳhirī ta.alīm ke haiñ
mirī maañ ne nikālā zar purānā
tamāshā phir vahī imsāl hogā
vahī dastār hogī sar purānā
sajā mātam kanār-e-dasht-e-mizhgāñ
sunā qissa vo chashm-e-tar purānā
agar hai dastaras dast-e-saḳhāvat
milā de yaar lamha bhar purānā
agar aa hī gayā hai vo to 'tāhir'
shikāyat kar na shikva kar purānā
na diwaren hain aur na dar purana
abhi tak phir bhi hai ye ghar purana
Dara deta jaga deta hai mujh ko
darun-e-zehn baiTha Dar purana
marahil aaKHiri talim ke hain
meri man ne nikala zar purana
tamasha phir wahi imsal hoga
wahi dastar hogi sar purana
saja matam kanar-e-dasht-e-mizhgan
suna qissa wo chashm-e-tar purana
agar hai dastaras dast-e-saKHawat
mila de yar lamha bhar purana
agar aa hi gaya hai wo to 'tahir'
shikayat kar na shikwa kar purana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.