na dikhaiyo hijr ka dard-o-alam tujhe deta hun charKH-e-KHuda ki qasam
na dikhaiyo hijr ka dard-o-alam tujhe deta hun charKH-e-KHuda ki qasam
Shah Naseer
MORE BYShah Naseer
na dikhā.iyo hijr kā dard-o-alam tujhe detā huuñ charḳh-e-ḳhudā kī qasam
mire yaar ko mujh se na kiijo judā tujhe sarvar-e-har-dūsrā kī qasam
vo sanam ka.ī din se hai mujh se ḳhafā nahīñ aatā idhar ko ḳhudā kī qasam
dil-e-mushfiq-e-man use khīñch to lā tujhe jazba-e-kāh-rubā kī qasam
yahī chāhe hai jī ki gale se lago zarā mere dahan se dahan to malo
nahīñ ġhurfe se aan ke jhāñk to lo tumheñ apnī hai sharm-o-hayā kī qasam
kabhī shab ko akelā jo pā.ūñ tujhe to gale se phir apne lagā.ūñ tujhe
kabhī chhātī pe apnī sulā.ūñ tujhe mujhe ishq ke jaur-o-jafā kī qasam
tire uThte hī pahlū meñ dard uThā tire jaate hī dam ye adam ko chalā
mujhe chhoḌ ke aah tū ghar ko na jā tujhe apne hī funduq-e-pā kī qasam
mujhe bahr-e-ḳhudā kahīñ us se chhuḌā tire hijr kī shab hai ye kaalī balā
nahīñ jhuuT maiñ kahtā kuchh is meñ zarā mujhe terī hī zulf-e-dotā kī qasam
ajī dekho to kaisī uThī hai ghaTā yahī aish kā din hai uḌā le mazā
karo bāda-kashī mire māh-laqā tumheñ detā huuñ abr-o-havā kī qasam
ajī jaatī hai aaj tū vasl kī shab nahīñ kyuuñ hai milāyā laboñ se ye lab
mujhe ab to uḌāne de aish tū ab tujhe apne hai mehr-o-vafā kī qasam
lage terī balā mujhe āfat-e-jāñ kabhū phir bhī ye kah ke khilā.egā paañ
mire sar kī qasam mirī jaañ kī qasam mire ġhamza-o-nāz-o-adā kī qasam
mareñ ġhair pe aap maiñ tum pe marūñ mujhe kyā hai ġharaz kaho kyuuñ maiñ jalūñ
yahī jī maiñ hai tum se na baat karūñ mujhe apnī is āh-e-rasā kī qasam
kise dekhūñ kaho lagūñ kis ke gale shab-e-vasl meñ mujh se jo tū ye kahe
ki ye bāda-e-surḳh tū pī le tujhe mire hāthoñ ke rañg-e-hinā kī qasam
kahāñ jaatā hai muñh ko chhupā.e hue tire hijr meñ jaate haiñ ham to mare
kabhī muḌ ke idhar ko bhī dekh to le tujhe hazrat-e-sher-e-ḳhudā kī qasam
suno serī na ho mujhe khaao ajī mujhe piiTo jo mujh ko girāo ajī
mire ghar se na aaj to jaao ajī tumheñ merī hī shab kī bukā kī qasam
mire bichhḌe ko mujh se milāo koī mire rūThe ko lā ke manāo koī
are yaaro tum us ko bulāo koī tumheñ ḳhāliq-e-arz-o-samā kī qasam
na dikhaiyo hijr ka dard-o-alam tujhe deta hun charKH-e-KHuda ki qasam
mere yar ko mujh se na kijo juda tujhe sarwar-e-har-dusra ki qasam
wo sanam kai din se hai mujh se KHafa nahin aata idhar ko KHuda ki qasam
dil-e-mushfiq-e-man use khinch to la tujhe jazba-e-kah-ruba ki qasam
yahi chahe hai ji ki gale se lago zara mere dahan se dahan to malo
nahin ghurfe se aan ke jhank to lo tumhein apni hai sharm-o-haya ki qasam
kabhi shab ko akela jo paun tujhe to gale se phir apne lagaun tujhe
kabhi chhati pe apni sulaun tujhe mujhe ishq ke jaur-o-jafa ki qasam
tere uThte hi pahlu mein dard uTha tere jate hi dam ye adam ko chala
mujhe chhoD ke aah tu ghar ko na ja tujhe apne hi funduq-e-pa ki qasam
mujhe bahr-e-KHuda kahin us se chhuDa tere hijr ki shab hai ye kali bala
nahin jhuT main kahta kuchh is mein zara mujhe teri hi zulf-e-dota ki qasam
aji dekho to kaisi uThi hai ghaTa yahi aish ka din hai uDa le maza
karo baada-kashi mere mah-laqa tumhein deta hun abr-o-hawa ki qasam
aji jati hai aaj tu wasl ki shab nahin kyun hai milaya labon se ye lab
mujhe ab to uDane de aish tu ab tujhe apne hai mehr-o-wafa ki qasam
lage teri bala mujhe aafat-e-jaan kabhu phir bhi ye kah ke khilaega pan
mere sar ki qasam meri jaan ki qasam mere ghamza-o-naz-o-ada ki qasam
maren ghair pe aap main tum pe marun mujhe kya hai gharaz kaho kyun main jalun
yahi ji main hai tum se na baat karun mujhe apni is aah-e-rasa ki qasam
kise dekhun kaho lagun kis ke gale shab-e-wasl mein mujh se jo tu ye kahe
ki ye baada-e-surKH tu pi le tujhe mere hathon ke rang-e-hina ki qasam
kahan jata hai munh ko chhupae hue tere hijr mein jate hain hum to mare
kabhi muD ke idhar ko bhi dekh to le tujhe hazrat-e-sher-e-KHuda ki qasam
suno seri na ho mujhe khao aji mujhe piTo jo mujh ko girao aji
mere ghar se na aaj to jao aji tumhein meri hi shab ki buka ki qasam
mere bichhDe ko mujh se milao koi mere ruThe ko la ke manao koi
are yaro tum us ko bulao koi tumhein KHaliq-e-arz-o-sama ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.