na dil bhara kabhi haq se na rabte TuTe
na dil bharā kabhī haq se na rābte TuuTe
magar aqīde jo bātil ke saath the TuuTe
rukīñ na dhaḌkaneñ dil kī na rābte TuuTe
kisī ke vāste ham aapne aap se TuuTe
kisī ke dil ne kisī ko jo Tuut kar chāhā
usī ke dil pe qayāmat ke hādse TuuTe
amīr-e-shahr kī hurmat pe harf aa.egā
ġharīb aap se TuuTe to kis liye TuuTe
har ek saañs ko marbūt haq se karnā hai
ki is se pahle ye sāñsoñ ke silsile TuuTe
na dil bhara kabhi haq se na rabte TuTe
magar aqide jo baatil ke sath the TuTe
rukin na dhaDkanen dil ki na rabte TuTe
kisi ke waste hum aapne aap se TuTe
kisi ke dil ne kisi ko jo Tut kar chaha
usi ke dil pe qayamat ke hadse TuTe
amir-e-shahr ki hurmat pe harf aaega
gharib aap se TuTe to kis liye TuTe
har ek sans ko marbut haq se karna hai
ki is se pahle ye sanson ke silsile TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.