Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na dil-dahi na kisi aarzu ka pyasa hai

Hayat Lakhnavi

na dil-dahi na kisi aarzu ka pyasa hai

Hayat Lakhnavi

MORE BYHayat Lakhnavi

    na dil-dahī na kisī aarzū pyāsā hai

    sitam-nasīb duā-e-adū pyāsā hai

    amīr-e-shahr ġharīb-ud-dayār ho bhī ga.e

    magar libās-e-ġharībāñ rafū pyāsā hai

    tilism Tuut na jaa.e ye zulmat-e-shab

    charāġh-e-fikr-o-nazar justujū pyāsā hai

    ḳhudā ke vāste mohr-e-sukūt toḌ bhī de

    tamām shahr tirī guftugū pyāsā hai

    agar ho turra-e-izzat yahāñ to kis ko mile

    jise bhī dekhiye vo aabrū pyāsā hai

    nafas nafas meñ vo mere basā huā hai magar

    nafas nafas mirā us ḳhūb-rū pyāsā hai

    savāb pyaas bujhānā hai jāntā huuñ maiñ

    magar vo shaḳhs jo apne lahū pyāsā hai

    'hayāt' fasl-e-bahārāñ hai muft meñ badnām

    mizāj-e-ahl-e-junūñ hāo-hū pyāsā hai

    na dil-dahi na kisi aarzu ka pyasa hai

    sitam-nasib dua-e-adu ka pyasa hai

    amir-e-shahr gharib-ud-dayar ho bhi gae

    magar libas-e-ghariban rafu ka pyasa hai

    tilism Tut na jae ye zulmat-e-shab ka

    charagh-e-fikr-o-nazar justuju ka pyasa hai

    KHuda ke waste mohr-e-sukut toD bhi de

    tamam shahr teri guftugu ka pyasa hai

    agar ho turra-e-izzat yahan to kis ko mile

    jise bhi dekhiye wo aabru ka pyasa hai

    nafas nafas mein wo mere basa hua hai magar

    nafas nafas mera us KHub-ru ka pyasa hai

    sawab pyas bujhana hai jaanta hun main

    magar wo shaKHs jo apne lahu ka pyasa hai

    'hayat' fasl-e-bahaaran hai muft mein badnam

    mizaj-e-ahl-e-junun hao-hu ka pyasa hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now