na dil dimagh ka is mein qusur hota hai
na dil dimāġh kā is meñ qusūr hotā hai
kisī se ek nazar kā fitūr hotā hai
rivāyateñ bhī ajab haiñ baḌī mohabbat kī
jo dil ke paas ho āñkhoñ se duur hotā hai
koī bhī shakl yuuñ hotī nahīñ hai nūrānī
tape jo aag meñ us par bhī nuur hotā hai
kuchh ek chiiz kahīñ aa to jaa.e haiñ lekin
ruke vahī haiñ jahāñ par shu.ūr hotā hai
ye rab hī jaane ki vo ishq kis ko kis se kab
par ek baar to sab ko zarūr hotā hai
kuchh ek ghūñT lagā raat milne jā.ūñgā
sunā hai shab ko nashe meñ vo chuur hotā hai
usūl-e-ishq kī takrār kā hai jis ko bhī
ziyāda pyaar usī kā qusūr hotā hai
na dil dimagh ka is mein qusur hota hai
kisi se ek nazar ka fitur hota hai
riwayaten bhi ajab hain baDi mohabbat ki
jo dil ke pas ho aankhon se dur hota hai
koi bhi shakl yun hoti nahin hai nurani
tape jo aag mein us par bhi nur hota hai
kuchh ek chiz kahin aa to jae hain lekin
ruke wahi hain jahan par shuur hota hai
ye rab hi jaane ki wo ishq kis ko kis se kab
par ek bar to sab ko zarur hota hai
kuchh ek ghunT laga raat milne jaunga
suna hai shab ko nashe mein wo chur hota hai
usul-e-ishq ki takrar ka hai jis ko bhi
ziyaada pyar usi ka qusur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.