na dil mein ana hai na koi hasad hai
na dil meñ anā hai na koī hasad hai
na fitrat meñ buġhz-o-adāvat na kad hai
hamesha sabhī kā bhalā hī kiyā hai
bhale nek hai yā bhale koī bad hai
kisī kī jo mushkil ko āsān kar de
ḳhudā us kī mushkil meñ kartā madad hai
maiñ dil chiir kar duuñ dalīl-e-mohabbat
ki us ne mohabbat kī māñgī sanad hai
tire 'ishq ne vo junūñ hai jagāyā
huī chaak merī qabā-e-ḳhirad hai
kisī se karegā bhalā vo vafā kyā
vafā ke jo mā'nī se hī nā-balad hai
ḳhudāyā ġhazab yā koī maslahat hai
tū kartā mirī har du'ā mustarad hai
dil-e-nā-tavāñ kab talak hijr kaaTe
mirī jaañ sitam kī tire koī had hai
kisī roz basnā hai zer-e-zamīñ bhī
kahīñ par mire naam kī bhī lahad hai
'sahāb' is jahāñ meñ har ik shai hai faanī
ki lāfānī bas ik ḳhudā-e-ahad hai
na dil mein ana hai na koi hasad hai
na fitrat mein bughz-o-adawat na kad hai
hamesha sabhi ka bhala hi kiya hai
bhale nek hai ya bhale koi bad hai
kisi ki jo mushkil ko aasan kar de
KHuda us ki mushkil mein karta madad hai
main dil chir kar dun dalil-e-mohabbat
ki us ne mohabbat ki mangi sanad hai
tere 'ishq ne wo junun hai jagaya
hui chaak meri qaba-e-KHirad hai
kisi se karega bhala wo wafa kya
wafa ke jo ma'ni se hi na-balad hai
KHudaya ghazab ya koi maslahat hai
tu karta meri har du'a mustarad hai
dil-e-na-tawan kab talak hijr kaTe
meri jaan sitam ki tere koi had hai
kisi roz basna hai zer-e-zamin bhi
kahin par mere nam ki bhi lahad hai
'sahab' is jahan mein har ek shai hai fani
ki lafani bas ek KHuda-e-ahad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.