na dil mein gham na honTon par hansi hai
na dil meñ ġham na hoñToñ par hañsī hai
ḳhudāvandā ye kaisī zindagī hai
tire va.ade pe jiite haiñ jiyeñge
magar ye pairahan bhī kāġhzī hai
udhar vo chāñd kī dhun meñ magan haiñ
udhar apnī ye be-bāl-o-parī hai
chamaktī bijliyāñ hī bijliyāñ haiñ
chaman meñ raushnī hī raushnī hai
basā-auqāt ye hotā hai mahsūs
ki nabz-e-zindagī ruk sī ga.ī hai
na dil mein gham na honTon par hansi hai
KHudawanda ye kaisi zindagi hai
tere wade pe jite hain jiyenge
magar ye pairahan bhi kaghzi hai
udhar wo chand ki dhun mein magan hain
udhar apni ye be-baal-o-pari hai
chamakti bijliyan hi bijliyan hain
chaman mein raushni hi raushni hai
basa-auqat ye hota hai mahsus
ki nabz-e-zindagi ruk si gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.