na dil mein hai KHalish koi na zaKHm ka malal hai
na dil meñ hai ḳhalish koī na zaḳhm kā malāl hai
ye dard kā uruuj hai ki ishq kā zavāl hai
nagar nagar Dagar Dagar tirā ḳhayāl ham-safar
ye hijr koī hijr hai ye hijr to visāl hai
faqīr ho yā bādshāh raa.e sab kī hai yahī
tū hī ġhazāl-chashm hai tū hī to gul-misāl hai
kahāñ pe aa ga.e haiñ ham ye bastiyāñ haiñ kaun sī
na koī ḳhush-nazar yahāñ na koī ḳhush-ḳhayāl hai
ye zindagī kā imtihān kab kahāñ kaThin rahā
javāb saare ishq haiñ ye ishq hī savāl hai
na dil mein hai KHalish koi na zaKHm ka malal hai
ye dard ka uruj hai ki ishq ka zawal hai
nagar nagar Dagar Dagar tera KHayal ham-safar
ye hijr koi hijr hai ye hijr to visal hai
faqir ho ya baadshah rae sab ki hai yahi
tu hi ghazal-chashm hai tu hi to gul-misal hai
kahan pe aa gae hain hum ye bastiyan hain kaun si
na koi KHush-nazar yahan na koi KHush-KHayal hai
ye zindagi ka imtihan kab kahan kaThin raha
jawab sare ishq hain ye ishq hi sawal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.