na din hi chain se guzra na koi raat meri
na din hī chain se guzrā na koī raat mirī
vo sabz baaġh dikhātī rahī hayāt mirī
mire vajūd ko rahne de sañg kī sūrat
kisī nazar meñ to ā.īna hogī zaat mirī
tujhe bhī dil meñ farāġhat se maiñ samo na sakūñ
kuchh aisī tañg nahīñ hai ye kā.enāt mirī
karūñ to kaun sā unvāñ atā karūñ us ko
baTī huī hai ka.ī qistoñ meñ hayāt mirī
mirī shikast-e-anā toḌ degī ḳhud mujh ko
sajā ke log nikāleñge jab barāt mirī
sameTtā huuñ maiñ nākāmiyoñ ko jab 'shā.iq'
mirā mazāq uḌātī haiñ ḳhvāhishāt mirī
na din hi chain se guzra na koi raat meri
wo sabz bagh dikhati rahi hayat meri
mere wajud ko rahne de sang ki surat
kisi nazar mein to aaina hogi zat meri
tujhe bhi dil mein faraghat se main samo na sakun
kuchh aisi tang nahin hai ye kaenat meri
karun to kaun sa unwan ata karun us ko
baTi hui hai kai qiston mein hayat meri
meri shikast-e-ana toD degi KHud mujh ko
saja ke log nikalenge jab baraat meri
sameTta hun main nakaamiyon ko jab 'shaiq'
mera mazaq uDati hain KHwahishat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.