na din ko chain na raaton ko KHwab aankhon mein
na din ko chain na rātoñ ko ḳhvāb āñkhoñ meñ
bhar aa rahā hai tire ġham se aab āñkhoñ meñ
jidhar vo dekhe udhar saf kī saf ulaT de hai
bharī hai shoḳh ke aisī sharāb āñkhoñ meñ
thamā na ashk na niiñd aa.ī na palak jhapkī
basā hai jab se vo ḳhāna-ḳharāb āñkhoñ meñ
tumhāre ham to qadīmī ġhulām bande haiñ
tumheñ na chāhiye ham se hijāb āñkhoñ meñ
qasam hai chashm-e-gulābī kī terī ai gul-rū
ki yaañ khiñche hai paḌā nit gulāb āñkhoñ meñ
ḳhudā kī shaan jinheñ baat bhī na aatī thī
vo ab kare haiñ savāl-o-javāb āñkhoñ meñ
shitābī aan ke mahbūbo pagḌiyāñ rang lo
'nazīr' laayā hai bhar kar shahāb āñkhoñ meñ
na din ko chain na raaton ko KHwab aankhon mein
bhar aa raha hai tere gham se aab aankhon mein
jidhar wo dekhe udhar saf ki saf ulaT de hai
bhari hai shoKH ke aisi sharab aankhon mein
thama na ashk na nind aai na palak jhapki
basa hai jab se wo KHana-KHarab aankhon mein
tumhaare hum to qadimi ghulam bande hain
tumhein na chahiye hum se hijab aankhon mein
qasam hai chashm-e-gulabi ki teri ai gul-ru
ki yan khinche hai paDa nit gulab aankhon mein
KHuda ki shan jinhen baat bhi na aati thi
wo ab kare hain sawal-o-jawab aankhon mein
shitabi aan ke mahbubo pagDiyan rang lo
'nazir' laya hai bhar kar shahab aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.